Welcome to My Poetry Site

Matrubhoomi

Dam ghuta ja raha hai is manhoos
videsh me jeene se
Jane kab samay aayega lagane ka
matrubhumi ke seene se

Bhale hi idhar badi tej gadiya aur
lambi choudi sadake sahi
Lekin apane desi mitti ke raaste aur
pedon ki thandi chhao nahi

Videshi maal se khachakhach bhare
yahan bade bade 'Mall' hai
Magar watan me milanewale fal
aur sabjiyan to kamaal hai

Bhale hi idhar badi badi imaarate
aur aalishan 'AC flat' sahi
Mulk me khidki se aate thandi hawa
ke jhonkon ka maja nahi

Sab kuchh bana banaya hai idhar
lagata hai kisi cheej ki kami nahi
Bas ek cheej baaki hai jo ban nahi
sakati, yahan matrubhoomi ke
mitti ki khushboo nahi
© 4 minutes ago    


Comment On This Poem --- Vote for this poem
Matrubhoomi

38,001 Poems Read

Sponsors